From Khamoshi sung by Lata M
ham ne dekhi hai in aankhon ki mahakti khushboo
haath se chuh ke ise rishto ka ilzaam na do
sirf ehsaas hai ye rooh se mahsoos karo
pyar ko pyar hi rahne do koi naam na do
pyar koi bol nahin, pyar awaz nahin
ek khaamoshi hai sunti hai kaha karti hai
na yeh bujhti hai na rukti hai na Thahri hai kahin
noor ki boond hai sadiyon se baha karti hai
sirf ehsaas hai ye rooh se mahsoos karo
pyar ko pyar hi rahne do koi naam na do
muskrahat si khili rahti hai aankhon me kahin
aur palkon pe ujaale se chuhpe rahate hain
honth kuch kahte nahin, kaanpate honthon pe magar
kitane khaamosh se afasaane ruke rahate hain
sirf ehsaas hai ye rooh se mahsoos karo
pyar ko pyar hi rahne do koi naam na do
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment